How to Start Blogging in Hindi | अपने ब्लॉग से पैसे कैसे कमाए

How to Start Blogging in Hindi | अपने ब्लॉग से पैसे कैसे कमाए


How to Start Blogging in Hindi (Blogging kaise shuru kare) yadi aap blogging karne ki soch rahe hai to ye apke carrier ke liye Best Platform ho sakta hai.

blogging se aap apna carrier shuru kar sakte hai yaha par comptition to hogi par aap me agar kuch uniqe likhne ki quality hai agar aap logo ko kisi Topic par behtar Explain kar sakte hai to blogging apke liye bilkul Right Place hai.

How to Start Blogging in Hindi


How to Start Blogging in Hindi

waise to daily lakho log blog start karte hai par unme se kuch log hi Blog ko Continue rakh pate hai, Continue kahne ka matlab yah hai ki hum Blog to shuru kar lete hai par hume ye pata nhi hota hai ki hume kya likhna hai, mai apko blogging ke bare me ek baat bata du ki blog humara personal dayri hai, hume apne life se mili exprience jo hum apne personal dayri me note karte hai. Blog bhi humara online dayri hai jisme hum apne exprience ko logo ke sath share karte hai.

Actually Blogging bhi unhi ke liye hai jinko likhna pasand aata hai, agar aap blogging start karna chahte hai apke paas kuch aisi Information hai jo logo ke liye helpful ho sakta hai to aap bina der kiye likhna shuru kar de 'otherwise It's our Recommend' blog banane se pahle aap ek achha sa topic soch le jiske bare me Content likhna chahte hai topic aisa chune jiski jankari aapke pas achhi tarah se ho aapko us topic par likhna pasand aaye or reader ko padhne me achha lage.

■ SEO Friendly Blog Post Kaise Likhe | Rank Google #1Page

aisi topic choose kare jis par aap lambe samay tak likh paye, yu kahe ki 'Topic is most Important for Blogging' baki apke Writting Quality achhi honi chahiye.
Blogging me aap Copy paste bilkul bhi na kare, Copy paste ka matlab ye hai ki aap kisi or ki Article apne blog par paste na kare,Isse apke blog par Negative Impression par sakta hai. aap post ko apni khud ki exprience ke sath , apne tarike se likhe , post ke andar apni khud ki Quality dalne ki kosis kare Jaise ek kavi Sagar ki gahrayo me doob kar moti nikal lata hai.


What Is A Blog, Exactly?


Sahi mayne me Blog Kya Hai? Blog ek website hoti hai jispar aap niyamit taur par apni suggestion, information ya Exprience record kar sakte hai. agar hum baat kare lagbhag 20 saal pahle ki to log dayri likhte the agar aap internet par blog ya article likhte hai to ise blog kahte hai.

Web Blog ki short form hai blog, internet par kayi prakar ke blogging site hai jaise ki Blogger, WordPress, Tumblr, Wix, Medium, Ghost, Weebly, Etc. Simply blog ke bare me kahu to Blog ek Online Dayri hai.

10 Best Free Blog Sites


log Blog kyu banate hai ya blog kyu karte hai? Blogging karne ke bahut sare Reason ho sakte hai.

  1. Blogging apko ek achha writter banane me help kar sakta hai. 
  2. Isse aap bahut achhi Income bhi kar sakte hai. 
  3. Isse aap apne Ideas ko logo ko samjhane ke liye bahut achha Platform ho sakta hai. 
  4. logo ke samne aap apna information de kar ek achha Network banaya ja sakta hai. 
  5. Blogging ke jariye aap ek Popular person ke rup me jane ja sakte hai. kuch log blogging ko passion ke liye karte hai. 
  6. Blogging karne ka View kisi Business ya company ka advertisement apne Blog par lagana ho sakta hai. 
  7. political aur social issues ke topic ko logo ke samne lane ke Jariye se kiya ja sakta hai. 
  8. Blogging se paisa banane ya apne carrier ko ek achha Platform dene ke liye kiya ja sakta hai.

What Topics Do People Blog About? Topic Ideas for Starting a Blog.


Log Blog ke bare me kya Topic rakhte hai? Ek Blog start karne ke Topic kya hona chahiye ? blog shuru karne ke bahut sare vishay ho sakte hai. aapko jis vishay me ruchi hai aap apna blog usi topic par shuru kare yaha par kuch topic ideas diye gaye hai apko topic choose karne me aasan ho sakta hai.

  • Technology – computer Information, software, programming, web development, web design, mobile feature , and startups. 
  • Health and Fitness – sports equipment, nutrition, gym supplements, exercise, dieting, fashion. 
  • Food – recipe sharing, restaurants, kitchen equipment. Fashion – makeup, clothing, hair Style, and beauty products. 
  • Travel – vacations, best places to visit, your own travels, restaurants, entertainment. 
  • Finance – industry happenings, ways to make and save money, budgeting. 
  • Business – business Ideas, industry updates, real estate, expert tips, and best practices. 
  • Content marketing – how to market your business, SEO best practices, digital marketing, affiliate marketing, email campaigns. 
  • Lifestyle – gardening, home improvement, organization, travel, survival. 
  • Personal Development – time management, health awareness, self motivational, mindfulness.


How to Create A Blog for Free


Blog Create kaise karte hai Free me? Blog start karne se pahle hum jaan lete hai ki beginner ke liye Blog ka kon sa platform sahi or aasan ho sakta hai 'It's our reccommend for beginner' aap apna blogging carrier blogspot (Blogger.com) se start kar sakte hai iske feature ko use karna bahut hi aasan hai, isme apko HTML, CSS, PHP in sabhi ka knowledge nhi hai phir bhi aap apne blog ya website ko achhe se design kar sakte.

Aap chahe to wordpress par bhi blog create kar sakte hai. but wordpress ki chije ek beginners ke liye advance ho sakti hai, aur ise samjhna thori muskil ho sakti hai. Isliye main reccommend karunga aap apna blog blogspot par hi create kare. aap jab blogging filed ko achhi tarah se sikh lenge than uske baad apne blog ko wordpress par switch kar sakte hai. tab yah pura nirnay aap nirbhar karega.


How to Create a Blog on Blogspot


yadi aap bhi jan na chahte hai ki blogspot par blog kaise banaye to hum yaha par apko steb by steb guide karne wale hai. Blogspot(Blogger.com) jo ki google ki hi ek product hai, 23 august 1999 ko Pyra Labs dwara Blogger ko launch kiya gaya tha jise Google ne Febuary 2003 me iski Sahi kimat dekar Pyra Labs se kharid liya. 

Blogspot(blogger.com) ke bare me apko bata du ki yah Google ki bilkul FREE service hai, isme apko Blog Create karne ki koi paise dene nhi hoti hai. or na hi apko monthly/yearly charge dena hota hai yani ki yah sab Free me ho jata hai. to chaliye bina der kiye jaan lete hai blogspot par Blog Create kaise karte hai. Blogspot(Blogger.com) par apna Blog create karne ke liye diye gaye official link par jaye. 
click here... www.blogger.com

How to Start Blogging in Hindi

Step #1. Create account par click kare

How to Start Blogging in Hindi

Step #2. Create your google account jis tarah se aap Gmail account banate hai yaha par bhi apko waise hi karna hai. aap apni puri information sahi tarah se fill up kare.

How to Start Blogging in Hindi

Step #3. verifying your phone number aap apna phone number submit kare. apke mobile number par ek OTP diya jayega OTP dal kar ise Verify kare.

How to Start Blogging in Hindi

Step #4. aap apne screen ke top me dekhenge apka Email id create ho chuka hai. aap apne email id or password ko note kar le, isi Id se aap apne blog ko login kar payenge. iske bad aap aage ki baki information fill karte jaye.

How to Start Blogging in Hindi

Step #5. Conform your profile display name me apne blog ka name dale jo aap apne blog ka name rakhna chahte hai.

How to Start Blogging in Hindi

Step #6. Create new blog par click kare

How to Start Blogging in Hindi

Step #7.
  1. Title me apne blog ka name type kare. 
  2. Address me apne blog ka url banaye apne blog name or url ek jaisa rakhe taki readers ko apke blog ko samjhne me aasani ho.
  3. Theme select kare.

How to Start Blogging in Hindi

Step #8. Congratulations ! apka Blog/website create ho chuka hai. Happy Blogging...!!

How to Start Blogging in Hindi

How to Make Money Online with your Blog

Apne Blog/website se online paisa kaise banaye. Apke paas ek Blog hai, ek achha Idea aur Blog se ek achha theme mila huwa hai to aap apne samay ka sahi istemal karke apne communication skill ko dikhaye.

apki website ka layout bahut hi badhiya hai . apki content writting interesting hai to ise apne friend circle, social media or apne local network par share kare,
Isse aap koi paisa nahi kama pa rahe hai to ghabraye mat.


It's ok,  aap akele nahi hai.

har saal lakho Blog likhe ja rahe hai, duniya bhar ke log apne Life, apni Interest aur apne Hobbies ke bare me post karne ke liye internet ka sahara le rahe hai.
log khud ko promote karne ke liye aur duniya ke sath apne jivan ko saajha karne ke liye pahle se kahi adhik social media ka upayog kar rahe hai.


Blogging se online paisa kamana ek bahut hi achha Idea hai, aaj lakho log Blog se achhi Income kar rahe hai.
Blogging ek business ki tarah hai apko isme lagbhag 3-6 mahine ek blog business ko run karne me lag sakte hai.
ye pura aap par bhi depend karta hai ki aap kis tarah se apne Blog par kaam kar rahe hai.
Blogging ko Part time ya Full time ke rup me kiya ja sakta hai.



apko un lakho Bloggers se kuch alag karne ki avashyakata hogi. yah itna aasaan nhi hoga.
par aap agar apna time blogging ke liye nikalte hai. ek achha Plan bana kar sahi tarike se apne blog/website ko mention rakhte hai, daily kam-se-kam ek article
post karte hai.


aap diye gaye sare tips ko sahi se follow kare, aap dekhenge ki kuch hi dino me apke blog se earning shuru ho chuka hai. 
apne Blog par Hardworking ke sath smart work karte hai, apna sara effort Blog par lagate hai to Success apse jyada dur nahi hoga. aap success ko jald hi achieve kar payenge. 


Money Making Method



How to Make Money Online with your Blog

Abhi tak hamne Blog ke bare me jana, Blog kya hota hai, Blog kaise create karte hai. ab ham baat karne ja rahe hai Google Adsense ki, Google adsense kya hai, isse paise kaise kama sakte hai.

Google adsense ek Advertisement company hai, jo ki Google ki hi ek Product hai. yah apko apne blog/website par advertisement lagane ke paise dete hai.

apke Blog me ek bar Traffic aana shuru ho jaye tab aap Google Adsense ke liye apply kar sakte. lagbhag 1000 pageview apke blog par ho jane par Google adsense ke taraf se iske approval mil jate hai.
phir aap apne blog par advertisement laga kar paise kama sakte hai. lekin yah itna aasan nhi hoga apko iske liye apne blog par mehnat karni hogi. 

apke blog ko padhne ke liye visitor aane chahiye. apke Blog/website par traffic aane chahiye.


Conclusion

How to Start Blogging in Hindi (Blogging kaise shuru kare) se related hamne sari jankari dene ki kosis kari hai. ham ummid karte hai ki humara yah article apke liye helpful raha hoga yadi is post se judi apka koi sawal ya sujhav hai to hame comment pox par jarur likhe. ham apke sawalo ka javab jald hi dene ki kosis karenge.

Was this article helpful ? "If Yes Don't forget to Like & Share.

6 comments:

  1. Great information to make money blogging. And i have also lot of information about make money Try This start a blog business.

    ReplyDelete
  2. Ap nay kafi achay say samjhayeah hay

    ager ap may say koi blogger vs wordpress ki achi jankari lena chahata hay to ap is blog site ko zaror visit kejeyh umeed hay apko paasand ayay gee

    https://bestseolearnersblog.blogspot.com/p/blogger-vs-wordpress-2019.html

    ReplyDelete
  3. Blogging ke bare me bahut achi jankari di he aap ne
    https://www.blogging-star.com/

    ReplyDelete