15+ Tips SEO Friendly Blog Post Kaise Likhe | Rank Google #1Page

15+ Tips SEO Friendly Blog Post Kaise Likhe | Rank Google #1Page


Naye blogger ko yah nahi pata hota hai ki SEO Friendly Blog Post Kaise Likhe aur yehi karaan hai ki unke articles google ke pahle page par Rank nhi ho pati hai.

aur unke blog tak Readers pahunch nahi pate hai. dusre sabdo mein kahe to blog par traffic nahi milta hai. aur we apne blog se Income nhi kar pate, to paresaan hone ki baat nahi hai. Is pure post me Isi baat par charcha ki gayi hai. is post ke har ek topic ko dhyan se padh-kar samjhe.

Optimize blog post

Aap kisi bhi Platform se Blogging kar rahe hai lekin SEO (Search Engine Optimization) friendly post hona bahut hi jaruri hai, isse apki post ki Ranking Google me badh jati hai. ham jo bhi post likhte hai Iska udeshya yehi rahta hai ki hamari post Google ke pahle page par rank kare. aur sath hi humare dwara readers ko achha content mile.

agar aisa na ho to hamara sara mehnat bekar sa ho jata hai. ek sahi writing ke sath SEO friendly blog post likhna bahut hi jaruri hota hai.



SEO friendly blog post kaise likhe

Blog par article likhne ke liye practice banane ki avaysakta hoti hai, tabhi aap ise Improve kar payenge.
Isliye, yadi aap apni Ranking me sudhar karna chahte hai to aap apne writing skills ko Improve kare. aap apne content writing skills se hi apne readers ko apne blog ke taraf attract kar payenge. aur blog me jyada se jyada client bana sakenge.

Ek sabse Important baat jo har Blogger ke liye jaruri hai, aap hamesha apna focus Readers ko Impress karne me rakhe na ki Google ko. yadi log apke writing ko samjhte hai aur ise pasand karte hai to wo apke post ko apne friend circle or social media me bhi share karenge aur isse apki website ki traffic aur ranking dono Increase hogi.

humne pichle post me es baat ka jikr kiya tha ek achhi post likhne ke liye, post me Quality content ka hona bahut hi important role rakhta hai. iske sath-sath apke Readers ko Heading, Sub-heading, Content aur Paragraph yah sab achhe se samajh me aane chahiye, jo ki On Page SEO ke andar aata hai.

■ How to Start A Blog for Beginner in Hindi & Make Money Online

agar aap apne blog ke traffic ko badha nahi pa rahe to nirash mat hoye, website ki traffic badhana koi aasan kaam nahi hota hai par itna bhi muskil nhi hota ki aap nahi kar paye.

SEO friendly article kaise likhe, in Tips ke sath apna blog post start kare. Definitely apke article Google ke pahle page par Rank karenge.

1. Blog likhne se pahle Keyword Research kare



Keyword-Research

Jab aap Article likhna shuru karte hai to sabse pahla step aata hai Keyword Research ka jab aap yah tay kar lete hai ki page ka title name kya hona chahiye. tabhi aap post likhne ki shuruwat karte hai. kyuki yah post likhne ka pahla kadam hota hai. 

tabhi to aap apne focus keyword par dhyan rakh payenge. title name yah wahi keyword hota hai jo aap google par kisi sahayta ya jankari ke liye search box par likhte hai. 

dhyan rahe ki aap jis topic par post likh rahe hai apka keyword bhi waisa hi ho yani Keyword apke post se match ho. 

jaisa ki aap-sab jante hai post ka title name utna hi jaruri hai jitna ki ek blog ya website ka name padhkar hum ye jaan lete hai ki ye blog kis bare me hai. thik waise hi apko apne post ka name kuch unique aur meaningful rakhna hai. 

sath hi yah bhi dhayan rakhna hai ki log google par kis tarah se keyword ko search karte hai. apko usi keyword par apne post ko Rank karana hai. iske liye apko yah bhi janana hoga ki google par kon si keyword jyada bar search ki ja rahi hai. 

bahut sari free online Tools se hai jiske help se yah pata lagaya ja sakta hai ki kon si keyword Google par kitni bar search ki ja rahi hai. jaise ki Keywords Everywhere - keyword tools ise aap free me use kar sakte hai. ise apne Firefox ya Chrome Browser me Install kar le. 

phir aap kisi bhi keyword ko google par search karenge to ye apko kon-si keyword kitni bar search hoti hai ye uska total monthly volume, CPC aur kon-si keyword par kitna comptition hai ye sari jankari mil jati hai. 

Dusra tool Google Keyword Planner ka bhi use kar sakte hai yah google ka free tool hai. isse bhi apko monthly search volume , CPC, aur Comptition volume kitna hai yah pata lagaya ja sakta hai. 
aap ise achhi tarah samajh kar iske hisab se bhi keyword reseach kar sakte hai.


2. Check kare ki apka Paragraph short hai


Is baat ka pura dhayan rakhe ki apke article ko padhne ke liye jyada-tar log mobile ka Use karte hai. isliye apne Paragraph ko jyada lamba na kare. chhote paragraph ka upyog kare. 

paragraph me 2 se 3 sentence ka hi upyog kare. uske baad paragraph ko samapt kar de or ek naya paragraph le. article ko aur bhi interesting banane ke liye Bold, Italic jaise option ka use kare. 

Isse apke readers ko samjhane me jyada aasani hota hai ki paragraph kis vishay me hai or unhe sochne ka mauka milta hai ki ve abhi kya padh rahe hai. ek sahi size ka paragraph bahut hi important role rakhta hai readers ko samjhne me or ise scan karne me.

3. Blog post ke liye Stracture taiyar kare


Next step aata hai Stracture ko likhna to blog likhne se pahle post ka ek achha sa stracture bana le. isse apke readers ko topic ko samjhana or bhi aasaan ho jata hai. 

aisa karne se topic majedar or suitable lagta hai. stracture se mera matlab hai ki post ke jin topic par aap charcha karne wale hai, unka ek list bana le.

iske ek aur bhi fayde hai ki apke paas ek bar me post ko pura samapt karne ka samay nahi hai. to ek bar jab apke paas post ka stracture taiyar ho jata hai to aapko apna dhayan phir se focus karne ke liye, adhik samay ki aavyaskta nahi hogi. 

Blog post ko alag-alag bhago me batne se aap easy tarike se writing kar payenge. aap apne vishay ko samjhane ke liye kuch aise sabdo ka bhi apne post me upyog jarur kare. ( jaise, aur bhi, se kam, balki, isliye, sabse pahle, ek aur, iske alawa, ant me, kyuki, jabki, chunki, abhi tak, kabhi bhi, etc.

Example ke liye aap jo post padh rahe use likhne se pahle hamne post ki ek stracture taiyar kara hai aap ise dekh kar bhi samjh sakte hai.

SEO Friendly Blog Post Kaise Likhe

4. Post title and URL


SEO Friendly Blog Post Kaise Likhe

Post title SEO ka sabse important part me se ek hai. apka post title pahli chij hai jo log apki site ko dekhte hai. aur search engine bhi yahi dekhta hai ki apki post kis chij ke bare me hai aur phir ye search result me dikhata hai. 

Blog me post ka Title kya rakhe ? waise to yah pahla kadam rahta hai ki blog post ka title kya hona chahiye. to blog post ka title aisa rakhe jo apke keyword se match kare yani jis keyword par post ko rank karana chahte hai. 

sath hi aap inme 'How to', 'step by step', 'the complete guide' etc. jaise word ka post title me shamil kar sakte hai. 

jaisa ki is post ka title SEO Friendly blog post kaise likhe , isme humne 'kaise likhe' ko add kiya hai. jabki humara main keyword SEO Friendly blog post hai. 

yah bhi dhayan rahe ki jab aap post ka title bana rahe hai to yah 70 character (with spaces) ke bich me ho yadi aapne isse adhik rakh diya hai. to ye SEO friendly bilkul bhi nahi mana jata hai. aur Post ko Google ke pahle page par Rank karana bahut hi muskil kaam ho jata hai. iska matlab yah bhi nahi hai ki ise jyada short rakhe. 


ab baat aati hai Post ka URL kya hona chahiye ?. URL ko generally 2 naam se jana jata hai agar aap blogspot use kar rahe to ise Permalink ke naam se jante hai. 

aur yadi wordpress use kar rahe hai to ise Slug ke naam se bhi jana jata hai. post URL wahi hota hai jo thik post title ke niche show karta hai. 

SEO friendly url kaisa hota hai

https://www.freehelptips.in/SEO-Friendly-Blog-Post/html ✅  SEO Friendly https://www.freehelptips.in/12458/html                         ❌ Not SEO Friendly

5. Use signal words


Singal words readers ko yah samjhane ke liye help karta hai ki apka mukhya vichar kya hai batane ke liye. 

Example ke liye - first of all (sabse pahle), secondly (dusri) ,finally (aant meain), indeed (vastav mein), surely (nishchit roop se), jaise words apke readers ko samjhane me aasan banata hai ki do alag-alag sentence vaastav mein ek prakriya ka hissa hain. 

Baaki sentence ko padhe bina, aapka readers pahale se hi anumaan laga sakta hai ki kya aa raha hai. is tarah se readers ko content padhne ke liye interest banaye rakhta hai. 

Isliye apne post me signal words ko jarur add kare, yah bahut hi important rakhta hai.

6. Use headings correctly


Yadi aap Heading ka upayog karte hai to yah readers ko Concept ko samjhane ke liye behtar banata hai. Heading, Sub-Heading [ H1>H2>H3] tag ka hona kewal apke Readers ke liye hi nahi balki SEO ke liye bhi bahut bada factor hota hai. yaha par dhyan rakhne wali baat yah hai ki aap Heading ka upayog sahi tarike se kare. 

Heading ka use kaise kare ? 

Example: 

H1: Lays Chips are awesome 
H2: Why Lays Chips are awesome 
H3: Lays Chips come in a lot of different flavors 
H3: Lays Chips are crunchy 
H3: Lays Chips are cheap 
H2: The best Lays Chips ever 
H2: Where to buy Lays Chips 
H3: Online stores 
H3: In your hometown 
H2: Wrapping it up 

Note: Heading H1 apka post ka title hota hai, ise do bar upayog na kare isse google search engine confuse ho sakta hai.

7. Add Internal Link to previous post


Jab bhi aap naya post likhe to Inme apne purane post ka link ek saath jodana na bhoolen. lekin yah bhi dhyan rakhe ki wahi link add kare jo is post se Relate ho. yah search engine ko apki website par naye post ko dhundhne me help karta hai. 

apke di gayi link se google aasani se yah pata laga sakta hai ki apke pichle aur is post ke bich kya sambandh hai. isake saath hi aapke link stracture google rank ke liye bhi important hai. aap har post ke andar kam se kam 3 se 4 Internal Link add jarur kare hai yadi post badi ho to ise badha bhi sakte hai.

8. Add Outbound link to High Quality Sites


Hamne iske pahle ke paragraph me internal link ko kaise add kare is vishay me charcha kiya. ab baat aati hai Outbound link (External link) ki to iska matlab yah hai ki aap apne post me others High Quality Sites ki link add kare. jin websites ki domain authority badi ho. 

Example ke liye (wikipedia, quara, facebook, amazon, Blogger, wordpress, etc.) jaise link ko article me add kare inki Domain authority badi hai. yah SEO friendly blog post ke liye aur Google ranking ke liye bahut hi jaruri hai. hamne Is post me keyword ke anusaar kayi others sites ke link ko add kiya hai.

Yah bahut hi jaruri hai ki hum websites ko ek-dusre se connect kare. aisa karne se Search Engine badi aasani se apki site ko dhund sakte hai. yaha par bhi apko isi baat ka dhyan rakhna hai ki jin website ka url/link add kar rahe hai wo apke Content se related ho. aap yah screanshot ko dekh kar samjh sakte hai.
SEO Friendly Blog Post Kaise Likhe

9. Use of keywords (but not keyword stuffing)


Keywords ka upayog kare jo apka main keyword hai yani jis keyword par apko target kar ke Google par Rank karana hai us keyword ko kam se kam pure post me 5 se 6 times naturally tarike se likhe. sath hi focus keyword ko Bold bhi kare. aisa karne se aap Google ko yah batate hai ki yah apka target keywords hai. 

Keyword stuffing se bache, iska matlab yah hai ki keyword padhne me aisa na lage ki unnatural tarike se likha gaya hai. yadi aap aisa karte hai to search engine ise keyword stuffing man sakta hai. aur isse search engine apki site ko ignore bhi kar sakta hai. 

apko keywords kahan add karna chahiye ? 


  1. Post ke title me keyword add kare
  2. Post ke pahle paragraph me Keyword add kare
  3. Meta description me keyword add kare
  4. Post ke main heading(H2) me keyword add kare 
  5. post ke content me kyeword add kare 
  6. post ke last me keyword add kare

10. Optimize the length of your blog post


Research se yah pata chala hai ki lambe article google par jaldi rank hoti hai. ya ye kahe ki google ko lambe article bahut pasand hai. lekin jab aap lambe article likh rahe hai to yah bhi dhyan rakhe ki yah padhne me aasan ho. lambe article dekh, readers dar bhi sakte hai ya boring ho sakte hai.

Lekin article ko interesting banane ki khubi apke andar hai to besak lambe article likhe. lekin iska matlab yah nhi hai ki choti post achhi Rank nahi karegi. 
apka udeshay apke blog post ko behtar banana hai. taaki sahi tarike se promote ho sake aur readers ka dhyan attract kiya ja sake. taaki pahle se jo auro ki post hai usse behtar ban sake aur apke article ko ek achhi rank mile sake. 

Bonus Tip : ek article ko kam se kam 700 word se upar likhe. long article likhne ka ek ye bhi fayde hai ki Google ko isse lagta hai ki baki website se apke paas information adhik hai. aur ye google page par jald hi Rank ho jati hai.

11. Optimize your meta description


Upar ke topic me hamne title aur url ke bare me bataya hai , iske sath hi meta description bhi utna hi important hai. search engine apke description ko bhi dekhta hai ki apke article kis bare me likha gaya hai aur user bhi description padh kar hi apke link ko click karta hai. esliye description jarur likhe. 

Post me meta description kaise likhe ? 

Yadi aap Blogger user hai to post dashboard ke right side menu description box me meta description likhe. aur yadi aap Wordpress user hai to ise post ke html <head> tag me description likhe. post ke description me aap apna title keyword ka use kare. description ko 156 character se adhik na banaye.

12. Optimize your images


Post me Image ka use kare par dhayn rahe ki image post se related ho. image me alt text dena na bhule kyuki google apke image ko nahi dekh sakta hai. alt text me apne title keyword ka use kare. or apne image ka file name bhi title keyword hi rakhe. 

Image ka size jyada bada na rakhe isse apke page speed kam ho sakti hai aur apki ranking me bhi effect pad sakta hai. esliye image agar bada size ka hai to Ise photoshop ya paint ke help se compress kare taaki image ka size chota ho jaye. image ka size 50kb se 60kb ke bich me rakhe isse adhik na kare.

13. Add content regularly


Website ki ranking banaye rakhne ke liye apko iske andar kuch badlav karte rahna hoga. niyamit rup se apne blog ko update karne se google ko lagta hai ki aap apne blog par active hai. 

Kyuki aisa nahi hai ki ek bar apki page google ke first page par rank ho gyi to yaha par apka kaam samapt ho gya, baki log bhi apni website ko rank karane me din-raat lage rahte hai. esliye apne blog ko up-to-date karte rahe.

14. Mobile Friendly Article


Abhi ke es daur me log mobile phone ka istemal jyada karte hai. ham apane smart phone ke aadee hain. kayi logon ke liye, smart phone pahali cheej hai jo ve chek karte hain. log unhen har cheej ke liye istemaal karte hain. 

Isliye yah bahut hi jaruri hai ki apka article mobile friendly ho. kyuki yah apke visitor ko sahi samay par sahi jagah tak pahuchne me help karta hai. aur unhe bahut hi behtreen anubhav deta hai. 

Aaj smartphone user ke desktop user ki tulna me adhik hai. aur google ke research me mobile traffic ke desktop traffic se kayi adhik hai. esliye yah dhyan rakhiye ki apke user apke article aasani se read kar sake. 

jab aap article publish kar dete hai uske baad url ko copy kare aur Google Mobile Friendly Test Tool ka upayog karke yah check kare ki apka article mobile friendly hai ya nahi. yadi ve mobile friendly nahi hai to google website ko kam rank deta hai. Inme sudhar kare.

15. Site Is Indexable


jab aap article publish kar dete hai to yaha par apka kaam samapt nahi hota, iske baad post ke url ko copy kare aur inhe Google search console(webmaster tool) me submit kare. 

Isse apki site google par index karti hai or iske baad hi apki site ko search engine par dikhati hai.

16. Check Site Speed


Yadi apki website ki speed slow hai to yah koi nahi chahega ki wo aisi website ko dekhe. website ki speed kam hone se readers apki website ko chor sakte hai. har kisi ko jaldi khulne wali website pasand aati hai.

Isliye yah uchit hai ki aap apne website ki speed sahi rakhe. aap apni website ki speed check karne ke liye Google PageSpeed Insights ka use kar sakte hai ya phir dusri tools GT Metrix ka bhi use kar sakte hai.

17. Before puplish other people read your post


Apne post publish karne se pahle, kisi aur ko ise pahle padhne den. unase poochhen ki kya ve aapki post ke mukhy udeshya ko samajhte hain aur unhen kisi bhi prakar ka sudhaar karne ki avyashkta hai. yah bahut hi achha tarika hai apne article ko verify karne ka phir post ko publish kare.


Conclusion

SEO Friendly Blog Post Kaise Likhe se related hamne sari jankari dene ki kosis kari hai yadi isse apko pahle ke kuch dino me achhi result na mile to niraas mat hoye yah apka learning period hai aap high quality content puplish karte rahe. 
aur yadi isse judi apka koi sawal ya sujhav hai to hame comment pox par jarur likhe. ham apke sawalo ka javab jald hi dene ki kosis karenge.

Was this article helpful ? "If Yes Don't forget to Like & Share.

6 comments: